Cool Downloads

Best Deal OF The Month

Wednesday, August 20, 2008

katori chat

samagri: chole aur aalu -uble huye250 gram,raai1/2 tea spoon, jeera1/2 tea spoon ,sauf 1/2 tea spoon, tamaater3-4, pyaaj2, hari mirch -2, hara dhaniya -thodasa, medaa300 gram, dahi -1 katori, namak -swadanusar, tel- moyan ke liye ,grm masala1/2 tea spoon, nibu 1tea spoon, imli- chatni ke liye, chini -chatni ke liye.
banaane ki vidhi:
sabse phele meda chan kar usme telnamakdahijiraa dalkar aata gutha le. mede ki loi banaakar bel kar katori ke niche se lapetege usse phele katori ke niche tel lagaayege. katori shit tel me bhura
hone tak tale. ek kadai me tel grm karke usme pisa huya payaj dalkar bhune fir payaj nikaal kar usi tel me raai jiraa sauf dalkar bhuni hui payaj tamaatar aur pani dalkar pakaayege. ab isme aalu aur chole milaakar hara dhaniya, laal mirch, grm masala, hari mirch dalkar mix kare. mede ki katori me ye masala bharege upar se imli ki chtani,dahai, nibu,barik kataa payaj dalkar parose.

3 comments:

facts about india, indian food said...

Indian food is basically known for having the most number of spices used in a single dish.India is after all the home of spices.

Maureen Grace said...
This comment has been removed by the author.
diksha said...

wow it is so easy and testy thanks for sharing.
health write for us